Joh Jaante ni unko bhi lagun familiar
Bana main shaq se ni beshaq kahunga clear
Main maal fook’kke na likhoon ye buddhi tezz itni
Albumei banaa ke fekun ek below na million.
Mein moj kaatu jaise – Desi Dan Bilzerian
Jo khaate khar saale baithe – aaj pavilion
Kal hi shaam aesi bndi se mila tha jiska naam peeche kaur par vibe thi – Brazilian.
Khelein hum aag or khelte hum raag se,
Ye bachhe kitne bhi badde – badde na baap se,
mein naam rashi aesi rakhke ghumtaa hoon,
bnde kehte kaam karne ka tareekaa seekhe apse!
haan khulla khaanaa,
khud kamanaa,
khulke jeenaa,
Jinse miltaa,
Sab haseenaa,
Jaise ghumtaa bahaaron mein.
haan hun kaminaa,
par nageenaa,
Leke ghumuu,
Har mahinaa,
Poora saal jaise jeeta hoon tyoharon mein.
Haan thoda papi,
Main gaali deta kaafi,
Par zindagi mein badne ke liye kabhi na chaati..
Teen button se bahar chhati,
Shine maare proud se,
Aur bhaichara rakhe na karte dekhke hum jaati.
Halla kaate poora hum jhund se dara na karte,
Kare fatey poori adhuri jung lada na karte,
Aagaz maar de ajaam se jo pehle
Hum vo kaal beta jinke haath roshini dhara na karte.
Khada ghamandd hua to baat kyuun baithate ho ?
Kam-zor dekhke hi haath kyun uthaate ho ?
Akele modh di kalai aflatuno ki to duniya humse kehtii iitna kehke kyu jataate ho?
Jo raaz rakhle aisa raaz kisse raazi hai?
Main haar ke bhi jeeta kheli aisi baazi hai.
Ye Sach pasand nahi to kaan apne karlo band,
Main dheere dheere faadu betaa konsi jald baazi hai.
Aankhe band karke bhi mein dekhun duniya ko yeh duniya gairo se bhi zyaada apno se mri hui
Muthhi khol ke main kya hi lungaa apno se joh apno ki hi aankhein mere chehre se jali hui
Mere haath dono baandh doge jhuthe iilzaamo se to maan lungaa gairo ke tum saath ho
Magar Har baat ka jawaab deta hai yeh waqt
Meri baatein kadwee ya tum kitne dil ke saaf ho
Aaj bhi shikandh naa maathe pe tum dekhoge
Chahe khada akele chaahe kitne piche waar ho.
Bhale manzoor na ho dushmano se haarna
Par dil ke tuukde hote hain jab dushmano me
Yaar ho!
Ek din jab pata chalega sach to per zameenein chhod denge aankhein khud se ruth jayegi
Hum to bethe honge pohoch se bhi door bekhabar tab jaani kadwi hi ye baatein tumko khayengi.
Apna kya hai hum to bnde hi hain mood ke
Jaha milega pyaar hum vahi pe dil lootaynge
Humse kya hi paaoge tum dil dukhaake
Hum to iski bhi nazam banaake pyaar loot jayenge.
Teen nashe the pyaare ek aur judh gayaa hai,
Taraki kehti raja mujhko leke uudh gayaa hai
Kehti pkd me main na aati ache acho ke
Par tujhme aisa kya hai mera poora dhyaan mudh gayaa hai.
Ab kehti haar ka jua bhi jeetega
Main likh ke deti hun zamana tere liye ruk gaya hai
Agar pata chale farak to marz kosega
Main kya hun dava tu khud zeher jo peeke uth gaya hai.
Jo Jaante ni unko bhi lagun familiar
Bana main shq se ni beshq kahunga clear
Main maal fook’kke na likhun ye buddhi tezz itni
Albumei bana ke fek’un ek below na million.
Mein moj kaatu jaise – Desi Dan Bilzerian
Jo khaate khar saale baithe – aaj pavilion
Kal hi shaam aesi bndi se mila tha jiska naam peeche kaur par vibe thi – Brazilian.
Desi Dan Bilzerian Comments